Ghar ke bahar dhoondhta rehta hoon duniya,
—
Ghar ke andar duniya-dari rahti hai.
Ye zaroori hai ki aankhon ka bharam qaim rahe,
—
Neend rakho ya na rakho, khwaab meyari rakho.
Bimar ko marz ki dawa deni chahiye,
—
Main peena chahta hoon, pilana chahiye.
Meri khwahish hai ki angan mein na deewar uthe,
—
Mere bhai, mere hisse ki zameen tu rakh le.
Hum apni jaan ke dushman ko apni jaan kehte hain,
—
Mohabbat ki is mitti ko Hindustan kehte hain.
Leave a comment