Apne mann mein doob kar pa ja suragh-e-zindagi,
—
Tu agar mera nahin banta, na ban apna to ban.
Ilm mein bhi surur hai lekin,
—
Ye woh jannat hai jisme hoor nahin.
Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai,
—
Par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai.
Achha hai dil ke saath rahe pasban-e-aql,
—
Lekin kabhi-kabhi ise tanha bhi chhod de.
Haya nahi hai zamane ki aankh mein baqi,
—
Khuda kare ki javani teri rahe be-daagh.
Leave a comment