So jaate hain footpath pe akhbaar bichha kar,
—
Mazdoor kabhi neend ki goli nahi khaate.
Ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai,
—
Tumne dekha nahi aankhon ka samundar hona.
Kal apne aap ko dekha tha maan ki aankhon mein,
—
Ye aaina hamein budha nahi batata hai.
Kuch bikri hui yaadon ke qisse bhi bahut the,
—
Kuch usne bhi balon ko khula chhod diya tha.
Tere daaman mein sitare hain to honge ai falak,
—
Mujhko apni maan ki maile odhni achhi lagi.
Leave a comment