Aaina dekh ke kahte hain sanwarne wale,
—
Aaj bemaut marenge mere marne wale.
Hamein hai shauq ki beparda tum ko dekhein,
—
Tumhein hai sharm to aankhon pe haath dhar lena.
Is nahi ka koi ilaaj nahi,
—
Roz kahte hain aap aaj nahi.
Ishq se milega ai zahid,
—
Bandaagi se Khuda nahi milta.
Ghazab kiya tere waade pe etibaar kiya,
—
Tamam raat qayamat ka intezar kiya.
Leave a comment