Rahta hai ibaadat mein hamein maut ka khatka,
—
Hum yaad-e-Khuda karte hain, kar le na Khuda yaad.
Log kahte hain badalta hai zamana sabko,
—
Mard woh hain jo zamane ko badal dete hain.
Hangama hai kyun barpa, thodi si jo pee li hai,
—
Daka to nahi maara, chori to nahi ki hai.
Bas jaan gaya main teri pehchaan yahi hai,
—
Tu dil mein to aata hai, samajh mein nahi aata.
Ishq ke izhaar mein har chand rusvaai to hai,
—
Par karoon kya ab tabiat aap par aayi to hai.
Leave a comment