Un ka jo farz hai, woh ahl-e-siyasat jaane,
—
Mera paighaam mohabbat hai, jahan tak pahuche.
Tere Jamal ki tasveer khinch doon lekin,
—
Zabaan mein aankh nahi, aankh mein zabaan nahi.
Apna zamana aap banate hain ahl-e-dil,
—
Hum vo nahi ki jin ko zamana banaya gaya.
Itni hijabon par to ye aalam hai husn ka,
—
Kya haal ho jo dekh len parda utha ke hum.
Aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrata hoon main,
—
Jaise har shay mein kisi shay ki kami paata hoon main.
Leave a comment