Nahi nigah mein manzil to justuju hi sahi,
—
Nahi visal mayassar to arzu hi sahi.
Wo baat saare fasane mein jiska zikr na tha,
—
Wo baat unko bahut na-gawar guzri hai.
Kab thahrega dard ai dil, kab raat basar hogi,
—
Sunte the wo aayenge, sunte the sahar hogi.
Aaye to yun ki jaise hamesha the mehrban,
—
Bhule to yun ki goya kabhi ashna na the.
Wo aa rahe hain, wo aate hain, aa rahe honge,
—
Shab-e-firaq ye keh kar guzar di humne.
Leave a comment